9 Dec 2010

Zindagi mei Safalta !!!

Tu de apne hauslon ko itna Bal,
Ke log bhi saath dein tera Jeevan mei Har Pal,
Tujhe milega tere achhe karmo ka Fal,
Teri saari pareshaniyaan ho jaayengi purnataya Vifal,
Koi kaam na chhodna tu uss din par jise kehte hain Kal, 
Karna Apni har ichha aur bado ki aagya par sachche dil se Amal,
To wo bhi teri raaho mei bichaayenge fuul-o-kamal,
Aur tabhi tu hoga zindagi mei behad Safal, tabhi tu hoga Zindagi mei Behad SAFAL !!! 





---Rahul Jain a.k.a CHAMPION [on d eve of Marketing & LAW presentations , 08-12-2010  B-) ]

6 Dec 2010

Dost k dost se dosti !!!



Dost k dost se dosti gunaah ho gayi, 

Saari dosti-yaari fanaa ho gayi, 

Kiske rishtey aabaad hue, ye to mera Maulaa hi jaane, 
Lekin Unke liye to ab Hamari Dosti hi ek Sazaa ho gayi !!!



OR can be read as:

Dost k dost se dosti gunaah ho gayi, 
Saari dosti-yaari fanaa ho gayi, 
Kiske rishtey aabaad hue, ye to mera Maulaa hi jaane, 
Lekin hamare Dost se hamari Dosti jaroor tabaah ho gayi !!!



--- Rahul Jain aka CHAMPION (06-12-2010)

29 Nov 2010

DB finally writes !!!

The stage seems set for another debacle
But my friends are hoping for another miracle
Jealous of me for doing what I do best
Want me to get rid of the art to procrastinate
So here in this domain my first entrant
Got to sound sensible and stay relevant
In my mind many a words swirl
And all my thoughts are in a whirl
Wish to give it my best shot
Wondering what to write and what not
Something that would make the blog rock
Only if i could get past the darn writer’s block
Have typed and deleted about a hundred lines
Yet nothing that makes sense or at least rhymes
Now my fingers have had enough exercise
Nothing more to write to be precise
Think all this is just crap?
I am all ears for some rap !!!
 
--- By Diva @ Wordpress

24 Nov 2010

Sachcha Maan Sammaan !!!


Ae mere desh k kanjoos jawaan, 
Tu haiiii kyuuu pareshaan, 
Kyu tujhe nahiiiiii bhaan, 
K tujhe hai khud parrrrrrr ghumaan, 

Par teri pareshaaniyo ka yehi hai samadhaan, 
Ki tu tyaag de ye apni jhoothi Aan-Baan-Shaan...
Aur kara kar apne saathiyo aur jodidaaro ka sammaan, 
Kar de Garibo mei apni kamaai ka ek ansh daan, 
Naa kar galti se bhi kisi ka Apmaan, 
Bas Lagaa de dusro ki sewa mei apni jaan,  
Phir hi to log maanenge tera ehsaan, 
Aur tabhi log karenge sache dil se tera Maan-Sammaan !!!



--- Rahul Jain aka CHAMPION (24-11-2010  11:26 PM)

22 Nov 2010

Ekansh ki Kalam se !!!


Haj kyon jaaon jab milti khudai tere ghar par,
Rehmat masjid jaake kyon maangon jab har armaan ho poora tere dar par !!!
Bhagwaan ko kyon yaad karoon bure samay mein,
Jab mit te hain saare gham haath jab tu fehraaye mere sar par !!! 

- - - Ekansh Saxena
 
 

Ho nahi sakta !!!


Palat jaaye Cricket ki duniya mei Sachin ka Takhta,
Murjhaye hue ped par phir se ugne lage hara Patta,
Raaton-raat Badal jaaye hamare desh ki Satta,
Sarkaari karmchaariyo ko sirf kaam karne par hi mile rozgaar Bhatta
Padne lage akaal uss jagah, jisse kehte hain Kalkutta (calcutta), 
Aur kabhi Duniya mei sabse famous actress ban jaaye Lara Dutta, 

Ye Kabhi ho nahi Sakta, Ye kabhi ho nahi Sakta !!!


---Rahul Jain Urf CHAMPION (22-11-2010)

17 Nov 2010

PAISA !!!


PAISA KYA HAI?
Log kehte hai ki ye to hai sirf haathon ka Mael
Duniya mei insaan ka banaaya hua ek chhota sa Khel,
Laalach dikhaakar jisne logo ko galat raaste par diya Dhakel,
Aur phir Pahuchaaya jisne kaiyon (bahuto) ko Jail,
Bachche-bade-bujurg sab bhul gaye khelna gilli-danda aur chalaana gulel,
Har ek ko banaa diya hai PAISE ne sirf aur sirf ek Kolhu ka Bael !!!

Par phir, sochta hun - "Ye bhi to sach hai k:

Jiske bhi paas hai iss duniya mei Paisa pel-pel,
Wahi kar paata hai saari luxuries avail,
Wahi to dikhta hai karta hua sabhi cruises par sail,
Aur sirf wahi kehlaata hai iss Duniya mei Anmol, Bejod, Bemel...

--- Rahul Jain a.k.a. CHAMPION (17th Nov. 2010)

Kal aur Aaj !!!


"Kal tak haste the jo humari dillagi par
Aaj vo hi khud dil lagaye bathe hai
Kal tak vo jise kehte the majak
Aaj usi ko jindagi banaye baithe hain"


-KomalS

Mohabbat !!!


"Mohabbat dilo ko aawara bana deti hai
Gardish meni rehne waala sitaara bana deti hai.
Ye apni hadd mein rahe to thik hai warna
Kisi ko 'Veer' kisi ko 'Zaara' bana deti hai..."


---Rahul Jain aka CHAMPION (Wrote long back, and last posted on my orkut thread in 2008)

15 Nov 2010

Veer-Ras !!!


"Har Zarra chamakta hai anwar-e-ilahi se,
Har phool mehekta hai khushboo-e-wahwahi se,
Apne deshwasiyo mein Mujahir-e-naapak dhundne waalo
Tumhare liye hai ye sandesh-e-paigaam, 
Mat roko kisi ko iss jahan mei mukhaatib hone Khudaai se, Warna wo lene par aa jayenge Intekaam 
Par ye desh ab jhel nahi paayega ek aur MAHASANGRAM, Jhel nahi paayega ek aur mahasangram !!!"


--- Rahul Jain aka CHAMPION (tried to write using more of Urdu words this time rd)

14 Nov 2010

Insaan ka Yaadon se Rishta !!!


"Tujhe meri yaad naa aaye,
Aur Mujhe teri Yaad sataaye...
Kabhi ye hasaaye, Kabhi tadpaaye, Aur phir ye rulaaye,  
Ye(yaadein) mujhe shok k sagar mei dubaati chali jaaye...

Par ek aam insaan ko itna sab sochne ka samay hi na mil paye,
Wo apne ateet ko khojta hi reh jaaye,
Hamesha inhi baaton mei gehen dhyaan lagaaye,
Aur uske sochte sochte hi 
ye Nirdayi Zindagi - uski saari khushi chheen le jaaye, 
Aur bas beeti chali jaaye, bas beeti chali jaaye... "

--- Rahul Jain aka CHAMPION (Children's Day - 2:18 AM kavita :P)

13 Nov 2010

Success !!!


"Bhagwaan ka diya kabhi Alp nahi hota,
Jo toot jaaye wo Sankalp nahi hota!!!
Haar ko Lakshya se door hi rakna,
Kyunki Jeetne ka koi VIKALP nahi hota !!! "  \m/

Zindagi !!!

 

"Har Lafz ko mukarrar koi Zubaan nahi hoti,
Kashti ko dubone waali har nadi Sailaab nahi hoti...
Insaan ko zindagi mei Mushkilo se ladnaa Seekh lena chahiye,
Warna uski Zindagi mei Zindagi se mulakaat nahi hoti !!! " 

 

---Rahul Jain aka CHAMPION (*ye 1:52 Am par likhi gayi shayari hai :P)