21 Feb 2011

Aise badlegi Zindagi, ye socha na tha !!!

Aise achaanak badlegi Zindagi ye socha na tha,
Zarurat k waqt saath khada na hoga koi dost, iska andesha na tha...

Mere kareebi kehlaane waale dosto-yaaro ka mere paas phone number to tha,
Par un vyast logo mei se kisi k paas mera ghum baante ka khaali samay na tha...

Mera mann kabhi aise dost paakar khilaa Palaash sa thaa,
Par itna kuchh dekhne k baad mann murjhaaya sa, niraash sa tha...

Maana ye unki taraf se bhi kisi prakaar ka koi dhokha na tha,
Par Zarurat k waqt ek bhi dost ka kandha tak na milega, iska katai bharosa na tha...

Aise achaanak badlegi Zindagi ye socha na tha, bilkul socha na tha !!!



--- Rahul Jain (*11:16 PM on 21-02-2011*)


No comments:

Post a Comment